Emotional Sad Story : Best New Love Story In Hindi...

MUKAMMAL MAHOBBAT KI EK MUKAMMAL DASTAAN
" Sochta Hu... "
Emotional Sad Story
Emotional Sad Story

Emotional Sad Story : Best New Sad Love Story In Hindi

Kya Kisi Ki Zindagi Me Kabhi Aisa Waqt Aaya Hoga..?
Kya Kisine, Khud Hi Apne Aansuo Ko Pochh Khud Ko Hasaya Hoga..?

Dekho Aaj Meri Zindagi Me Kuch Aisa Hi Waqt Aaya Hai..!
Dekho To Sahi Taqdeer Ne Mera Kaisa Majak Udaya He..!

Wo Mera Pyar Meri Jaan Jo Meri Apni Thi..!
Aaj Usiki Sakhiyo Ne Use, Kisi Aur Ki Dulhan Banane Ke Liye Sajaya He..!

Meri Ek Ha Se Jiski Na Bhi Ha Hua Karti Thi,
Aaj Usne Meri Sau Sau Haa Ko Bhi Thukraya Hai,

Dekho Kaisa Chamak Raha Hai Uska Wo Laal Joda,
Jispe Mere Dil Ka Khoon Usne Us Par Chadaya Hai,

Hum To Wafa Karke Bhi Apne Dil Ko Sambhal Na Paye,
Pata Nahi Kaise Us Bewafa Ne Apne Us Nadaan Dil Ko Sambhala Hain,

Dekho Kaise Has Rahi Hai Wo Khud Ko Dekh Aaine Me,
Jaise Mera Dil Todkar Usne Koi Bada Teer Chalaya Hain,

Aise Saja Rahi Hain Ek Ek Gahne Ko Apne Aap Par,
Jaise Meri Maiyat Par Usne Fulo Ko Sajaya Hain,

Dekho Kaisi Saji Hain Uske Hatho Ki Mehndi,
Us Mehndi Ke Pichhe Us Bewafa Ne Mere Naam Ko Chupaya Hain,

Puch Rahi Hain Apni Sakhiyo Se Ki Mai Kaisi Dikhti Hu,
Sakiyo Ne Kaha Jaise Aaj To Chand Zami Par Utar Aaya Hain,

Par Bhul Gayi Wo Bewafa Dekho Is Ehsaan Ko,
Ki Us Chand Ko Itna Hasin Chand Kisne Banaya Hain,

Dekho Ab Rone Lagi Wo Apni Sakhiyo Ki Baho Me,
Ki Ab Aap Sabko Hame Chodne Ka Waqt Aaya Hain,

Par Usne Ek Pal Ye Bhi Nahi Socha,
Ki Uska Kya Hoga Jisne Us Par Jee Jaan Lutaya Hain,

Dekho Aise Ja Rahi Hain Wo Sir Ko Zukaye Nikaah Ke Liye,
Jaise Kisi Ne Use Rangeen Dawat Ke Liye Bulaya Hain,

Puchha Gaya Usse Jab Ki Manjur Hai Tumhe Ye Dawat – Ye – Nikaah,
To Dekho Fir Ek Baar Uski Palko Par Aansuo Ka Sailaab Aaya Hai,

Sochne Lage Sab Ki Kya Hua Dulhan Ko Is Hasin Mauke Par,
Par Mai Janta Hu Ab Aakhiri Palo Me Use Mera Pyar Yaad Aaya Hoga,,

Rote – Rote Uski Aankho Se Aansu Jab Uske Hatho Par Gira Hoga,
Tab Use Shayad, Un Aansuo Ko Baar Baar Pochne Wala Yaad Aaya Hoga,

Ehsas Ho Gaya Use Shayad Ki Us Mehfil Me Hum Bhi Hain,
Mujhe Dekhte Hi Use Dekho Meri Saari Wafao Ka Sila Yaad Aaya Hoga,

Pucha Gaya Fir Usse Daawat- Ye – Nikaah Ka Sawal,
Par Is Baar Bhi Un Gulabi Hotho Se Na Koi Jawab Aaya Hain,

Rote – Rote Uski Sanse Ab Thamne Lagi Thi,
Log Kehne Lage Aaj Ye Hasin Mauke Par Kudrat Ka Kaisa Azaab Aaya Hain,

Uske Waali - Den Ne Use Aakar Puchha Ki Kya Hua Tujhe Aye Beti,
Par Wo Kya Jane In Aansuo Ke Piche Usne Apni Wafao Ko Chupaya Hain,

Rah Na Paya Mera Dil Meri Jaan - Ye – Wafa Ke Aansuo Ko Dekh,
Maine Socha Shayad Maine Hi Yaha Aakar Mere Pyar Ko Rulaya Hain,

Galat Hain Meri Soch, Galat Hain Mera Uthta Har Kadam,
Kyuki.. Ab Wo Mera Nahi, Wo To Kisi Aur Ka Hamsaya Hain,

Uth Kar Chalne Laga Jab Main Us Mehfil – Ye – Nikaah Se,
Tab Muje Laga Jese Kisi Ne Pichhe Se Mera Naam Pukara He,

Mud Kar Dekha Jab Maine Ki Kaun Hain Wo Shakhs,
To Pata Chala Ki Meri Hi Jaan – Ae – Wafa Ne Rote Huye Mera Naam Pukara Hain,

Ruk Si Gayi Har Dhadkan, Waqt Ka Har Ek Pal Tham Sa Gaya,
Koi Samajh Hi Nahi Paya Ki Ye Waqt Me Kaisa Badlaav Aaya Hain,

Mehfil - Ae - Wafa Ka Har Ek Aadmi Mujhe Dekhne Laga,
Ki Kaun Hain Ye Jisne Is Khubsurat Mauke Ko Itna Badsurat Banaya Hain,

Abhi Tak Jin Aansuo Ko Maine Palko Ki Kaid Me Chhupa Rakha Tha,
Dekho Wo Bahne Lage Ab Kyuki Mera Mehbub Roti Hui Aankho Se Mujhe Dekh Musukraya Hain,

Mehfil – Ae – Nikaah Me Betha Hua Har Ek Shakhs Mehfil Se Uth Gaya,
Kyuki Dekho Mera Bichda Hua Mehboob Bhagte Huye Meri Or Aaya Hain,

Lipat Gaya Mera Sanam Meri Baho Me Aakar Is Kadar,
Jaise Usne Khud Ki Jaan Ko Meri Jaan Me Samaya Hain,

Rote Rote Wo Kehne Lagi A Mere Jaan – Ye – Wafa,
Dunia Ki Riwazo Ne Mujhe Rok Rakha Tha Par Lo Aaj Maine Sari Dunia Ko Tumhare Khatir Thukyara Hain,

Bahne Lage Meri Aankho Se Aansu Is Kadar Jese Sailab Aaya Hain,
Sochne Laga Ye Kismat Tune Bhi Kitna Ajeeb Khel Dikhaya Hain,

Mahfil - Ae -Nikaah Me Hone Lagi Hazaro Baate,
Ki Dekho Is Pagal Ladki Ne Khuda Ke Farmaan Ko Thukraya Hain,
Is Nikaah Ke Rishte Ko Tod Tune Ek Masum Ka Dil Dukhaya Hain,

Sunkar In Lafzo Ko Meri Jaan Ne Itna Kaha,
Ki Tumhe Us Masum Ki Parwah Hain Jo Kabhi Mera Tha Hi Nahi,
Kabhi Is Masum Ka Bhi To Socho Jara Jise Mene Najane Kitne Khoon Ke Aansu Rulaya Hain,

Main Nahi Janti Kya Nikaah, Kya Rishta, Kya Gunah, Maine Kiya,
Bas Main Janu To Sirf Itna Janu Ki Maine To Khuda Jaisi Sacchi Apni Mahobbat Ka Farz Nibhaya Hai.

"अगर आपको कहानी पसंद आया हो तो..."
"Please Like, Share And Comment."

No comments

Theme images by merrymoonmary. Powered by Blogger.